Kayi badi filmein aisi hain jo doosre heroes ko offer hui thi. Magar unhone karne se mana kar diya aur woh filmein Shah Rukh ko mil gayi, aur in filmon ne Shah Rukh ki qismat badal di.
**Dilwale Dulhania Le Jayenge**
Shah Rukh ke career ko aasman pe pohnchane wali is film ka kirdar Shah Rukh ke liye nahi likha gaya tha. Ek shokh chanchal se ladke ka kirdar nibhaane ke liye sabse pehle film banane walon ke zehan mein Saif Ali Khan ka naam tha. Aur Saif is kirdar ki demand pe poora bhi utarte the magar dates vaghera ke issues ke wajah se yeh film Shah Rukh ko mil gayi. Aur mera maanna hai agar Saif is film ko kar bhi lete to Shah Rukh jaisa romance na dikha pate aur yeh film cult classic mein shumar na hoti aaj.
**Darr**
Sunny Deol ko andheray mein dhakelne wali movie Darr jismein Shah Rukh ne negative kirdar nibhaaya, yeh kirdar bhi Ajay Devgn ko offer kiya gaya tha aur behad negative aur psycho character ke wajah se Ajay ne isko filmane se inkaar kar diya tha. Aur phir yeh kirdar Shah Rukh ko mila. Shah Rukh ne is kirdar ko nibhaaya to ab aise lagta hai ke Shah Rukh se behtar isko koi nibha bhi nahi sakta.
**Chakde India**
Chakde India ek sports drama film hai aur itni shandar hai ke main ek Pakistani hone ki haisiyat se bhi isko dekh kar emotional ho jaata hoon. National Award winner yeh movie sabse pehle Salman Khan ko offer ki gayi thi lekin Salman ke kahani ke baare mein kuch objections the jiski wajah se yeh film Shah Rukh ki jholi mein aa gayi aur Shah Rukh ne ismein rang bhar diye.
**Mohabbatein**
Mohabbatein se gandhi film Mohabbatein ke liye bhi Shah Rukh first choice nahi the. Ek teacher ki dastaan ko bayan karne ke liye is film ke main role ke liye Aamir Khan ko chuna gaya tha lekin wahaan bhi dates vaghera ke issues ke wajah se yeh film Shah Rukh ko mili aur phir jo Shah Rukh ne Mohabbatein mein jo mohabbatein ke rang bikhaaye sab ishq mein khoye rahe. Is film ka music behad shandar aur mashhoor hai. Shah Rukh ki tamam filmon mein se shayad favorite music mera ishi film ka hai.
Aur bhi kuch filmon hain magar review lamba hone ke dar se itna hi kaafi hai. Aur kuch filmon aisi hain jinmein be ikhtiyar dil chahta hai ke kaash ismein Shah Rukh hote. Agar main ek aisi film bataoon to Dhanush ki movie Ranjhaana mein Shah Rukh ko lead role mein dekhna apne aap mein ek shandar tajurba hota.
Koi aisi film hai jismein Shah Rukh nahi hain magar aap chahte hain ke kaash ismein Shah Rukh hero hote?